Agar safar mein mere saath mera yaar chale,
Tawaaf karta hua mausam-e-bahaar chale...
Laga ke waqt ko thokar jo khaaksaar chale,
Yaqeen ke qaafile humraah be-shumaar chale...
Nawaazna hai to phir is tarah nawaaz mujhe,
Ke mere baad mera zikr baar baar chale...
Ye jism kya hai koi pairahan udhaar ka hai,
Yahin sambhaal ke pahna yahin utaar chale...
Ye jugnuo'n se bhara aasmaan jahaan tak hai,
Wahaan talak teri nazron ka eqtidaar chale...
Yahi to ek tamanna hai is musaafir ki,
Jo tum nahin to safar mein tumhaara pyaar chale..!!
"Aalok Shrivastav"
No comments:
Post a Comment