Wednesday, December 13, 2017

Dariya-dili Se Abr-e-karam Bhi Nahin Mila

Dariya-dili se abr-e-karam bhi nahin mila,
Lekin mujhe naseeb se kam bhi nahin mila...

Phir ungliyon ko khoon mein dubona pada humein,
Jab hum ko maangne pe qalam bhi nahin mila...

Sach bolne ki raah mein tanha Hamee'n mile,
Is raaste mein shaikh-e-haram bhi nahin mila...

Main ne to saari umr nibhaai hai dosti,
Wo mujh se khaa ke meri qasam bhi nahin mila... 

Dil ko khushi bhi had se zyada nahin mili,
Kaase ke aitibaar se ghum bhi nahin mila..!!

"Munawwar Rana"
____________________


دریا دلی سے ابر کرم بھی نہیں ملا
لیکن مجھے نصیب سے کم بھی نہیں ملا.. 

پھر انگلیوں کو خوں میں ڈبونا پڑا ہمیں
جب ہم کو مانگنے پہ قلم بھی نہیں ملا..

سچ بولنے کی راہ میں تنہا ہمیں ملے
اس راستے میں شیخ حرم بھی نہیں ملا..

میں نے تو ساری عمر نبھائی ہے دوستی
وہ مجھ سے کھا کے میری قسم بھی نہیں ملا..

دل کو خوشی بھی حد سے زیادہ نہیں ملی
کاسے کے اعتبار سے غم بھی نہیں ملا..

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...