Wednesday, December 13, 2017

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah,

Us ka Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah,

Baad Muddat Us ko Dekha To Jism-o-Jaan Ko Yoon Laga,

Pyaasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah,

Roz Kahta Hai Seenay Pe Sar Rakh Ke Raat Bhar Jagaaun Ga,

Sar-e-Shaam Hi Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,

Mere Hi Dil Ka Makee'n Nikla Wo Shakhs “Wasi”

Aur Mein Shahar Bhar Me Dhoondhta Raha Usay Kisi Paagal Ki Tarah.!

"Wasi Shah"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...