Abhi Kuch Bhi Nahin Badla...
Darakhton Par Wahi Mausam
Abhi Tak Muskuratey Hain,
Abhi Tak Surmayi Shamein Humarey
Saath Roti Hain,
Abhi Tak Mere Honthon Par Tumhaare
Honthon Ki Khushbu Raqs Karti Hai,
Abhi Tak Meri Ankhon Mein Tumhaare
Khwaab Hanstey Hain,
Abhi Tak Mere Haathon Par Tumhaari
Ungliyon Ki
Narm Poron Se Likhey Sab Harf
Zinda Hain,
Abhi Tak Mere Seeney Mein Tumhaari
Saans Chalti Hai,
Abhi To Raaston Par Doodhiya Pairon
Se Padney Waaley
Saarey Naqsh Qayem Hain,
Abhi Almaariyon Mein Saarey Tohfey Gungunatey Hain,
Tumhare Khat Abhi Bhi Raat Ki Tanhaai
Mein Mujh Se
Tumhari Baat Kartey Hain,
Bahut Se Saal Guzrey Hain,
Bahut Aa Waqt Beeta Hai,
Meri Chahat Nahin Beeti,
Meri Himmat Nahin Guzri,
Abhi Kuch Bhi Nahin Badla,
Abhi Kuch Bhi Nahin Badla,
Agar Chaho,
Agar Samjho,
Meri Maano,
To Laut Aao.!!
No comments:
Post a Comment