Bhula paana bahut mushkil hai sab kuchh yaad rahta hai,
Mohabbat karne waala is liye barbaad rahta hai...
Agar sone ke pinjde mein bhi rahta hai to qaidi hai,
Parinda to wahi hota hai jo aazaad rahta hai...
Chaman mein ghoomne phirne ke kuchh aadaab hote hain,
Udhar hargiz nahin jaana udhar sayyaad rahta hai...
Lipat jaati hai saare raaston ki yaad bachpan mein,
Jidhar se bhi guzarta hoon main rasta yaad rahta hai...
Humein bhi apne achchhe din abhi tak yaad hain 'Rana',
Har ek insaan ko apna zamaana yaad rahta hai..!!
"Munawwar Rana"
____________________
بھلا پانا بہت مشکل ہے سب کچھ یاد رہتا ہے
محبت کرنے والا اس لیے برباد رہتا ہے..
اگر سونے کے پنجڑے میں بھی رہتا ہے تو قیدی ہے
پرندہ تو وہی ہوتا ہے جو آزاد رہتا ہے..
چمن میں گھومنے پھرنے کے کچھ آداب ہوتے ہیں
ادھر ہرگز نہیں جانا ادھر صیاد رہتا ہے..
لپٹ جاتی ہے سارے راستوں کی یاد بچپن میں
جدھر سے بھی گزرتا ہوں میں رستہ یاد رہتا ہے..
ہمیں بھی اپنے اچھے دن ابھی تک یاد ہیں راناؔ
ہر اک انسان کو اپنا زمانہ یاد رہتا ہے..
No comments:
Post a Comment