Monday, December 11, 2017

Badshaahon Ko Sikhaaya Hai Qalandar Hona

Badshaahon ko sikhaaya hai qalandar hona,
Aap aasaan samajhte hain munawwar hona.

Ek aansoo bhi hukoomat ke liye khatra hai,
Tum ne dekha nahin aankhon ka samandar hona.

Sirf bachchon ki mohabbat ne qadam rok liye,
Warna aasaan tha mere liye be-ghar hona.

Hum ko maloom hai shohrat ki bulandi hum ne,
Qabr ki mitti ka dekha hai baraabar hona. 

Is ko qismat ki kharaabi hi kaha jaayega, 
Aap ka shahar mein aana mera baahar hona. 

Sochta hoon to kahaani ki tarah lagta hai,
Raaste se mera takna tera chhat par hona.

Mujh ko qismat hi pahunchne nahin deti warna,
Ek aizaaz hai us dar ka gadaagar hona. 

Sirf taareekh bataane ke liye zinda hoon,
Ab mera ghar mein bhi hona hai calendar hona.!!

"Munawwar Rana"
____________________

بادشاہوں کو سکھایا ہے قلندر ہونا
آپ آسان سمجھتے ہیں منور ہونا..

ایک آنسو بھی حکومت کے لیے خطرہ ہے
تم نے دیکھا نہیں آنکھوں کا سمندر ہونا..

صرف بچوں کی محبت نے قدم روک لیے
ورنہ آسان تھا میرے لیے بے گھر ہونا..

ہم کو معلوم ہے شہرت کی بلندی ہم نے
قبر کی مٹی کا دیکھا ہے برابر ہونا..

اس کو قسمت کی خرابی ہی کہا جائے گا
آپ کا شہر میں آنا مرا باہر ہونا..

سوچتا ہوں تو کہانی کی طرح لگتا ہے
راستے سے مرا تکنا ترا چھت پر ہونا..

مجھ کو قسمت ہی پہنچنے نہیں دیتی ورنہ
ایک اعزاز ہے اس در کا گداگر ہونا..

صرف تاریخ بتانے کے لیے زندہ ہوں
اب مرا گھر میں بھی ہونا ہے کلنڈر ہونا..

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...