Monday, January 1, 2018

Bhawein Tanti Hain Khanjar Haath Mein Hai

Bhawein tanti hain khanjar haath mein hai tan ke baithe hain,
Kisi se aaj bigdi hai ki wo yoon ban ke baithe hain...

Dilon par saikdon sikke tere joban ke baithe hain,
Kalejon par hazaaron teer us chitwan ke baithe hain...

Ilahi kyoon nahin uthti qayamat maajra kya hai,
Humare saamne pahlu mein wo dushman ke baithe hain...

Ye gustaakhi ye chhed achchhi nahin hai ai dil-e-nadaan,
Abhi phir rooth jayenge abhi to man ke baithe hain...

Asar hai jazb-e-ulfat mein to khinch kar aa hi jayenge,
Humein parwah nahin hum se agar wo tan ke baithe hain...

Subuk ho jayenge gar jayenge wo bazm-e-dushman mein,
Ke jab tak ghar mein baithe hain wo laakhon man ke baithe hain...

Fusoo'n hai ya dua hai ya mu'amma khul nahin sakta,
Wo kuchh padhte hue aage mere madfan ke baithe hain...

Bahut roya hoon main jab se ye main ne khwaab dekha hai,
Ke aap aansu bahaate saamne dushman ke baithe hain...

Khade hon zer-e-tooba wo na dam lene ko dam bhar bhi,
Jo hasrat-mand tere saaya-e-daaman ke baithe hain...

Talash-e-manzil-e-maqsad ki gardish uth nahin sakti,
Kamar khole hue raste mein hum rahzan ke baithe hain...

Ye josh-e-girya to dekho ki jab furqat mein roya hoon,
Dar o deewar ek pal mein mere madfan ke baithe hain...

Nigaah-e-shokh o chashm-e-shauq mein dar-parda chhanti hai,
Ke wo chilman mein hain nazdeek hum chilman ke baithe hain...

Ye uthna baithna mahfil mein un ka rang layega,
Qayamat ban ke utthenge bhabooka ban ke baithe hain...

Kisi ki shaamat aayegi kisi ki jaan jayegi,
Kisi ki taak mein wo baam par ban-thhan ke baithe hain...

Qasam de kar unhein ye poochh lo tum rang-dhang us ke,
Tumhaari bazm mein kuchh dost bhi dushman ke baithe hain...

Koi chheenta pade to 'Dagh' kalkatte chale jaayen,
Azimabaad mein hum muntazir saawan ke baithe hain.!!

"Dagh Dehlvi"
_____________

Subuk = light, delicate,
Zer-e-tooba = under Tuubaa, a tree in paradise,
Josh-e-girya = flood of tears,
____________________

بھویں تنتی ہیں خنجر ہاتھ میں ہے تن کے بیٹھے ہیں
کسی سے آج بگڑی ہے کہ وہ یوں بن کے بیٹھے ہیں..

دلوں پر سیکڑوں سکے ترے جوبن کے بیٹھے ہیں
کلیجوں پر ہزاروں تیر اس چتون کے بیٹھے ہیں..

الٰہی کیوں نہیں اٹھتی قیامت ماجرا کیا ہے
ہمارے سامنے پہلو میں وہ دشمن کے بیٹھے ہیں.. 

یہ گستاخی یہ چھیڑ اچھی نہیں ہے اے دل ناداں
ابھی پھر روٹھ جائیں گے ابھی تو من کے بیٹھے ہیں..

اثر ہے جذب الفت میں تو کھنچ کر آ ہی جائیں گے
ہمیں پروا نہیں ہم سے اگر وہ تن کے بیٹھے ہیں.. 

سبک ہو جائیں گے گر جائیں گے وہ بزم دشمن میں
کہ جب تک گھر میں بیٹھے ہیں وہ لاکھوں من کے بیٹھے ہیں..

فسوں ہے یا دعا ہے یا معمہ کھل نہیں سکتا
وہ کچھ پڑھتے ہوئے آگے مرے مدفن کے بیٹھے ہیں..

بہت رویا ہوں میں جب سے یہ میں نے خواب دیکھا ہے
کہ آپ آنسو بہاتے سامنے دشمن کے بیٹھے ہیں.. 

کھڑے ہوں زیر طوبیٰ وہ نہ دم لینے کو دم بھر بھی
جو حسرت مند تیرے سایۂ دامن کے بیٹھے ہیں..

تلاش منزل مقصد کی گردش اٹھ نہیں سکتی
کمر کھولے ہوئے رستے میں ہم رہزن کے بیٹھے ہیں.. 

یہ جوش گریہ تو دیکھو کہ جب فرقت میں رویا ہوں
در و دیوار اک پل میں مرے مدفن کے بیٹھے ہیں..

نگاہ شوخ و چشم شوق میں در پردہ چھنتی ہے
کہ وہ چلمن میں ہیں نزدیک ہم چلمن کے بیٹھے ہیں..

یہ اٹھنا بیٹھنا محفل میں ان کا رنگ لائے گا
قیامت بن کے اٹھیں گے بھبوکا بن کے بیٹھے ہیں..

کسی کی شامت آئے گی کسی کی جان جائے گی
کسی کی تاک میں وہ بام پر بن ٹھن کے بیٹھے ہیں..

قسم دے کر انہیں یہ پوچھ لو تم رنگ ڈھنگ اس کے
تمہاری بزم میں کچھ دوست بھی دشمن کے بیٹھے ہیں..

کوئی چھینٹا پڑے تو داغؔ کلکتے چلے جائیں
عظیم آباد میں ہم منتظر ساون کے بیٹھے ہیں..

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...