Wednesday, December 20, 2017

Bas Koi Aisi Kami Saare Safar Mein Rah Gai

Bas koi aisi kami saare safar mein rah gai...
Jaise koi cheez chalte waqt ghar mein rah gai.!

Kaun ye chalta hai mere saath be-jism-o-sada...
Chaap ye kis ki meri har rahguzar mein rah gai.!

Goonjte rahte hain tanhaai mein bhi deewar-o-dar...
Kya sada us ne mujhe di thi ki ghar mein rah gai.!

Aur to mausam guzar kar ja chuka waadi ke paar...
Bas zara si barf har sookhe shajar mein rah gai.!

Raat dariya mein phir ek shola sa chakraata raha...
Phir koi jalti hui kashti bhanwar mein rah gai.!

Raat bhar hota raha hai kin khazaano'n ka nuzool...
Motiyo'n ki si jhalak har barg-e-tar mein rah gai.!

Laut kar aaye na kyoon jaate hue lamhe 'Adeem'...
Kya kami meri sada-e-be-asar mein rah gai.!!

"Adeem Hashmi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...