Wednesday, December 20, 2017

Chal Diya Wo Dekh Kar Pahloo Meri Taqseer Ka

Chal diya wo dekh kar pahloo meri taqseer ka...
Doosra rukh us ne dekha hi nahin tasweer ka...

Baaqi saare khat pe dhabbe aansuo'n ke rah gaye...
Ek hi jumla padha main ne teri tahreer ka...

Tu ne kaise lafz hontho'n ki kamaan mein kas liye...
Itna gahra ghaao to hota nahin hai teer ka...

Uzr baaqi chaal mein hai qaid go baaqi nahin...
Paao'n aadi ho gaya hai is qadar zanjeer ka...

Aa gai kashti bhatak kar aab se su-e-saraab...
Bhar gaya reg-e-rawaan se jal mahi'geer ka...

Baat chhoti to nahin tujh se bichhadne ki hai baat...
Faisla tasleem kar loon kis tarah taqdeer ka...

Yaar logo'n ne use katba bana daala 'Adeem'.. 
Aakhiri patthar bacha jo umr ki tameer ka...

Doston se bhi ta'alluq ban gaya hai wo 'Adeem'...
Jo ta'alluq hai kisi shamsheer se shamsheer ka...

Zahar ki aankho'n mein raushan suratein do hain 'Adeem'...
Shakl ek suqraat ki aur ek chehra heer ka.!!

"Adeem Hashmi"
___
Taqseer = error, crime, sin ग़लती, क़ुसूर,
Uzr = excuse, apology, plea,
Reg-e-rawaan = mirage, hallucination
flying sand,
Maahi'geer = fisherman,
Katba = epitaph,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...