Aankho'n mein aansuo'n ko ubharne nahin diya,
Mitti mein motiyo'n ko bikharne nahin diya...
Jis raah par pade the tere paao'n ke nishaan,
Us raah se kisi ko guzarne nahin diya...
Chaaha to chaahato'n ki hado'n se guzar gaye,
Nasha mohabbato'n ka utarne nahin diya...
Har baar hai naya tere milne ka zaaiqa,
Aisa samar kisi bhi shajar ne nahin diya...
Ye hijr hai to is ka faqat wasl hai ilaaj,
Hum ne ye zakhm-e-waqt ko bharne nahin diya...
Itne bade jahaan mein jaayega tu kahaan,
Is ek khyaal ne mujhe marne nahin diya...
Saahil dikhaai de to raha tha bahut qareeb,
Kashti ko raasta hi bhanwar ne nahin diya...
Jitna sukoon mila hai tere saath raah mein,
Itna sukoon to mujhe ghar ne nahin diya...
Us ne hansi hansi mein mohabbat ki baat ki,
Main ne 'Adeem' us ko mukarne nahin diya.!!
"Adeem Hashmi"
No comments:
Post a Comment