Aisa lagta hai ke kar dega ab aazaad mujhe,
Meri marzi se udaane laga sayyaad mujhe.
Main hoon sarhad pe bane ek makaan ki soorat,
Kab talak dekhiye rakhta hai wo aabaad mujhe.
Ek qisse ki tarah wo to mujhe bhool gaya,
Ek kahaani ki tarah wo hai magar yaad mujhe.
Kam se kam ye to bataa de ki kidhar jaayegi,
Kar ke ai khaana-kharaabi meri barbaad mujhe.
Main samajh jaata hoon is mein koi kamzori hai,
Mere jis sher pe milti hai bahut daad mujhe.!!
"Munawwar Rana"
____________________
ایسا لگتا ہے کہ کر دے گا اب آزاد مجھے
میری مرضی سے اڑانے لگا صیاد مجھے..
میں ہوں سرحد پہ بنے ایک مکاں کی صورت
کب تلک دیکھیے رکھتا ہے وہ آباد مجھے..
ایک قصے کی طرح وہ تو مجھے بھول گیا
اک کہانی کی طرح وہ ہے مگر یاد مجھے..
کم سے کم یہ تو بتا دے کہ کدھر جائے گی
کر کے اے خانہ خرابی مری برباد مجھے..
میں سمجھ جاتا ہوں اس میں کوئی کمزوری ہے
میرے جس شعر پہ ملتی ہے بہت داد مجھے..
No comments:
Post a Comment