Sunday, December 10, 2017

Achcha Hua Ke Mera Nasha Bhi Utar Gaya

Achcha hua ki mera nasha bhi utar gaya,
teri kalaayi se woh karhaa bhi utar gaya.

Woh Mutmaeen bahut hai mera saath chhod kar,
main bhi hun khush ki qarz mera bhi utar gaya.

Rukhsat ka waqt hai yoon hi chehra khila rahe,
main toot jaaunga jo zara bhi utar gaya.

Bekas ki aarzoo mein pareshaan hai zindagi,
ab to faseel-e-jaan se diya bhi utar gaya.

Ro dho ke wo bhi ho gaya khamosh ek roz,
do chaar din mein rang-e-hina bhi utar gaya.

Paani mein woh kashish hai ki allah ki panaah!
rassi ka haath thaame gharhaa bhi utar gaya.

Wo muflisi ke din bhi guzaare hain main ne jab,
choolhe se khaali haath tawaa bhi utar gaya.

Sach bolne mein nasha kayi botalon ka tha,
bas ye hua ke mera gala bhi utar gaya.

Pahle bhi be-libaas the itne magar na the,
ab jism se libaas-e-hayaa bhi utar gaya..!!

"Munawwar Rana"
____________________

اچھا ہوا کہ میرا نشہ بھی اتر گیا
تیری کلائی سے یہ کڑا بھی اتر گیا..

وہ مطمئن بہت ہے مرا ساتھ چھوڑ کر
میں بھی ہوں خوش کہ قرض مرا بھی اتر گیا.. 

رخصت کا وقت ہے یوں ہی چہرہ کھلا رہے
میں ٹوٹ جاؤں گا جو ذرا بھی اتر گیا..

بیکس کی آرزو میں پریشاں ہے زندگی
اب تو فصیل جاں سے دیا بھی اتر گیا..

رو دھو کے وہ بھی ہو گیا خاموش ایک روز
دو چار دن میں رنگ حنا بھی اتر گیا..

پانی میں وہ کشش ہے کہ اللہ کی پناہ
رسی کا ہاتھ تھامے گھڑا بھی اتر گیا..

وہ مفلسی کے دن بھی گزارے ہیں میں نے جب
چولھے سے خالی ہاتھ توا بھی اتر گیا..

سچ بولنے میں نشہ کئی بوتلوں کا تھا
بس یہ ہوا کہ میرا گلا بھی اتر گیا..

پہلے بھی بے لباس تھے اتنے مگر نہ تھے
اب جسم سے لباس حیا بھی اتر گیا.. 

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...