Sunday, December 10, 2017

Humari Dosti Se Dushmani Sharmaai Rahti Hai

Humari dosti se dushmani sharmaai rahti hai,
hum akbar hain humare dil mein Jodha-baai rahti hai.

Kisi ka poochhna kab tak humari raah dekhoge.?
humara faislaa jab tak bhi ye binaai rahti hai.

Gile shikwe zaroori hain agar sacchi mohabbat hai,
jahaan paani bahut gahra ho thodi kaai rahti hai.

Meri Sohbat mein bhejo taaki iska darr nikal jaaye,
bahut sahmi hui darbaar mein sacchaai rahti hai.

Bas ek din phoot kar roya tha main teri mohabbat mein,
Magar aawaaz meri aaj tak bharraai rahti hai.

Khuda mahfooz rakkhe mulk ko gandi siyasat se,
Sharaab dewaro'n ke beech mein bhaujaai rahti hai,

Sharaafat dhundhne aaye ho aiwaan-e-siyaasat mein,
ye chaklaa hai yahaan Izzat nahi ruswaai rahti hai.!!

"Munawwar Rana"
____________________

हमारी दोस्ती से दुश्मनी शरमाई रहती है
हम अकबर हैं हमारे दिल में जोधाबाई रहती है।

किसी का पूछना कब तक हमारी राह देखोगे
हमारा फ़ैसला जब तक कि ये बीनाई रहती है।

मेरी सोहबत में भेजो ताकि इसका डर निकल जाए
बहुत सहमी हुए दरबार में सच्चाई रहती है।

गिले-शिकवे ज़रूरी हैं अगर सच्ची मुहब्बत है
जहाँ पानी बहुत गहरा हो थोड़ी काई रहती है।

बस इक दिन फूट कर रोया था मैं तेरी मुहब्बत में
मगर आवाज़ मेरी आजतक भर्राई रहती है।

ख़ुदा महफ़ूज़ रक्खे मुल्क को गन्दी सियासत से
शराबी देवरों के बीच में भौजाई रहती है।

शराफत ढूँढने आए हो ऐवान-ए-सियासत में
ये चकला है यहाँ इज्ज़त नहीं रुस्वाई रहती है।।

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...