Abhi kuch bhi nahin badla...
Darakhton par wahi mausam,
Abhi tak muskuraate hain...
Abhi tak surmayi shaamen,
Hamaare sath roti hain...
Abhi tak mere honthon pe,
Tumhare ahmari honthon ki
Khushboo raqs karti hai...
Abhi tak meri aankhon mein
Tumhare khwaab hanste hain,
Abhi tak mere haathon pe,
Tumhari ungliyon ke naram poron se
Likhe sab harf zinda hain...
Abhi tak mere seeney mein.
Tumhare saans chalti hai,
Abhi tak raaston pe
Doodhiya psiron se padne waale
Saare naksh qaayem hain...
Abhi tak almaariyon main
Saare tohfay gungunaate hain...
Tumhare khat abhi bhi raat ki tanhaai mein,
Mujhse tumhari baat karte hain...
Bahut se saal guzre hain,
Bahut sa waqt beeta hai,
Meri chahat nahin beeti,
Meri himmat nahin guzri,
Abhi kuch bhi nahin badla,
Agar chaaho agar samjho,
Meri maano, to laut aao,
Meri maano, to laut aao..!!
___________________________
No comments:
Post a Comment