Yeh kya ke sab se bayaa'n dil ki
haalatein karni,
Faraz tujh ko na aayi'n
muhabbatein karni,
Yeh qurb kya hai ke tu saamne hai
aur humen,
Shumaar abhi se judaai ki
sa'atein karni,
Koi khudaa ho ke patthar jise bhi
hum chahein,
Tamaam umr usi ki
ibaadatein karni,
Sab apne apne qareene se
muntazir us ke,
Kisi ko shukr kisi ko
shikaayatein karni,
Hum apne dil se hi majboor
aur logo'n ko,
Zara si baat pe barpaa
qayamatein karni,
Milein jab un se to mubham si
guftaguu karna,
Phir apne aap se sau sau
wazaahtein karni,
Yeh log kaise magar dushmani
nibhaate hain,
Humein to raas na aayi'n
mohabbatein karni,
Kabhi ‘faraz’ naye mausmo'n
mein ro dena,
Kabhi talaash puraani
rafaaqtein karni..!!
_ Ahmad Faraz
___
Mub'ham = ambiguous
hidden, indistinct, ambiguous
अस्पष्ट, धुँधला,
Wazaahat = explanation,
Rafaaqat = company, time spent together,
Qareene = decorations,
Sa'atein = moments,
_______________
No comments:
Post a Comment