Ab is shauq se ke jaan se guzar jana chahiye,
Bol ai hawa-e-sheher kidhar jana chahiye,
Kab tak isi ko aakhri manzil kaheinge hum,
Koo-e-muraad se bhi udhar jana chahiye,
Woh waqt aa gaya hai ke saahil ko chhorh kar,
Gehre samandro'n main utar jana chahiye,
Ab raftagaa'n ki baat nahin kaarvaa'n ki hai,
Jis samt bhi ho gard-e-safar jaana chahiye,
Kuch to suboot-e-khoon-e-tamanna kahin mile,
Hai dil tahee to aankh ko bhar jaana chaahiye,
Ya apni khwaahisho'n ko muqaddass na
jaante,
Ya khwaahisho'n ke saath hi mar jaana chahiye..!!
_ Ahmad Faraz
___
Koo-e-muraad = lane of wish,
Raftagaa'n = those who are dead and gone,
Kaarwaa'n = Caravan, Large Company Of Pilgrims,
Suboot-e-khoon-e-tamanna = proof of murder of desire,
Muqaddas = holy, consecrated,
_______________
No comments:
Post a Comment