Chalo ke kuucha-e-dildaar chal ke dekhte hain,
Kise kise hai yeh aazaar chal ke dekhte hain.!
Suna hai aisa maseeha kahi'n se aaya hai,
Ke us ko shahar ke beemaar chal ke dekhte hain.!
Hum apne but ko, zulekha liye hai yusuf ko,
Hai kaun raunaq-e-bazaar chal ke dekhte hain.!
Us ek shakhs ko dekho to aankh bharti nahin,
Us ek shakhs ko har baar chal ke dekhte hain.!
Woh mere ghar ka kare qasad jab, to saaye se,
Kayi qadam dar-o-deewaar chal ke dekhte hain.!
Faraz aseer hai us ka ke woh 'Faraz' ka hai,
Hai kaun kis ka giraftaar chal ke dekhte hain..!!
_ Ahmad Faraz
No comments:
Post a Comment