Wahshatein Badhti Gayin Hijr Ke Aazaar Ke Saath,
Ab To Hum Baat Bhi Kartay Nahi Ghum-Khwaar Ke Saath,
Hum Ne Ek Umr Basar Ki Hai Ghum-e-yaar Ke Saath,
Meer Do Din Na Jiye Hijr Ke Aazaar Ke Saath,
Ab To Hum Ghar Se Nikaltay Hain To Rakh Detay Hain,
Taaq Par Izzat-e-Saadaat Bhi Dastaar Ke Saath,
Ek To Khwaab Liye Phirtay Ho Galiyo'n Galiyo'n,
Us Pe Takraar Bhi Kartay Ho Kharidaar Ke Saath,
Is Qadar Khauf Hai Us Shahar Ki Galiyo'n Mein Ke Log,
Chaap Suntay Hain To Lag Jaatay Hain
Deewaar Ke Saath,
Shahar Ka Shahar Hi Naaseh Ho To Kya kijiyega,
Warna Hum Rind To Bhid Jaate Hain Do Chaar ke saath,
Hum Ko Us Ahad Mein Taameer Ka Sauda Hai Jahaan,
Log Me'amaar Ko Chun Detay Hain
Deewaar Ke Saath,
Jo Sharaf Hum Ko Mila Koocha-e-jaanaa Se 'Faraz'
Soo-e-maqtal Bhi Gaye Hain Usi Pindaar Ke Saath..!!
_ Ahmad Faraz
___
Aazaar = illness, torment, pain, suffering,
Ghum-Khwaar = consoler, sympathizer, comforter,
Izzat-e-Saadaat = respectable,
Taaq = a recess in a wall,
Dastaar = turban,
Rind = drunkard, carefree,
Sauda = frenzy, madness
trade,
Me'amaar = mason, architect, builder,
Sharaf = dignity/ honour/opportunity,
Soo-e-maqtal = towards gallows,
Pindaar = pride/ conceit,
_______________
No comments:
Post a Comment