Is Qadar Musalsal Thin Shiddatain Judaai Ki,
Aaj Pahli Baar Us Se Mein Ne Bewafaai Ki,
Warna Ab Talak Yoon Tha Khwaahisho'n Ki Barish Mein,
Ya Too Toot Kar Roya Ya Ghazal-Saraayi Ki,
Taj Dia Tha Kal Jin Ko Hum Ne Teri Chaahat Mein,
Aaj Un Se Majbooran Taaza Aashnaai Ki,
Ho Chala Tha Jab Bhi Mujh Ko Ikhtilaaf Apnay Aap Se,
Tu Ne Kis Ghadi Zaalim Meri Hamnawaai Ki.?
Tark Kar Chukay Qaasid Koo-e-Na-Muraadaa'n Ko,
Kaun Ab Khabar Laaye Shahar-e-Aashnaai Ki,
Tanz-o-Taana-o-Tohmat Sab Hunar Hain Naaseh Ke,
Aap Se Koi Poochhay Hum Ne Kya Buraai Ki,
Phir Qafas Mein Shor Utha Qaidiyo'n Ka Aur Sayyaad,
Dekhna Uda Degaa Phir Khabar Rihaai Ki,
Dukh Huaa Jab Us Dar Pe Kal Faraz Ko Dekha,
Laakh Aib Thay Us Mein Khoo Na Thi Gadaai Ki..!!
_ Ahmad Faraz
_____________
Taj = abandoning, forsaking,
Ghazal-Saraai = writing odes,
Koo-e-Na-Muraadaa'n = street of unfulfilled wishes,
Naaseh = adviser/ counsellor,
_______________
No comments:
Post a Comment