Monday, November 27, 2017

Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Mili

Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Mili,
Tumhain Chahtay Thay, Par Teri Ulfat Nahi Mili,

Milnay Ko Zindagi Mein To Kayi Hamsafar Milay,
Par Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili,

Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay,
Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili,

Bahut Der Se Aaya Tu Mere Paas,
Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili,

Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajjoh Na Di Tujhe,
Lekin Hum Ko To Khud Apni Mohabbat Nahi Mili,

Hum Ko To Teri Har Aadat Achchi Lagi, Faraz,
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili..!!

_ Ahmad Faraz
_______________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...