Wafaa Ke Baab Mein ilzaam-e-Aashiqui Na Liya,
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Liya,
Khushaa Wo Log Ke Mehroom-e-iltifaat Rahay,
Tere Karam Ko Ba-Andaaz-e-Saadgi Na Liya,
Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Samt Badhay,
Hazaar Shukr Girebaan Ko Hum Ne Si Na Liya,
Tamaam Masti-o-Tishna-Labi Ke Hangaamay,
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Liya,
Faraz Zulm Hai Kuch Itni Khud-Aitimaadi Bhi,
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Liya..!!
_ Ahmad Faraz
___
Mehroom-e-iltifaat = deprived of affection, स्नेह से वंचित,
Khushaa = how fortunate, blessed,
Sang = stone, pebble,
Meena = decanter/ enamel/ a blue stone,
Khud-Aitimaadi = self-confidence,
_______________
No comments:
Post a Comment