Monday, November 27, 2017

Abhi Kuch Aur Karishme Ghazal Ke Dekhte Hain

Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain,
'Faraz' ab zara lehja badal ke dekhte hain,

Judaaiyaa'n to muqaddar hain phir bhi ai
jaan-e-safar,
Kuch aur door zara saath chal ke dekhte hain,

Raah-e-wafa mein hareef-e-kharaam koi to ho,
So apne aap se aagay nikal ke dekhte hain,

Tu saamnay hai to phir kyoon yaqeen nahi aata,
Yeh baar baar jo aankhon ko mal ke dekhte hain,

Yeh kaun log hain moujood teri mehfil mein,
Jo laalacho'n se tujhe, mujh ko jal ke dekhte hain,

Yeh qurb kya hai ke yakjaa'n huye na door huye,
Hazaar ek hi qaalib mein dhal ke dekhte hain,

Na tujh ko maat huyi hai na mujh ko maat huyi,
So ab ke dono hi chaalein badal ke dekhte hain,

Yeh kaun hai sar-e-saahil ke doobnay waalay,
Samandaro'n ki taho’n se ucchal ke dekhte hain,

Abhi talak to na kundan huye na raakh huye,
Hum apni aag mein har roz jal ke dekhte hain,

Bohat dino'n se nahi hai kuch us ki khair
khabar,
Chalo Faraz koo-e-yaar chal ke dekhte hain…!!

_ Ahmad Faraz
___
Hareef-e-khiraam = rival of promenade,
Yakjaa'n = intimate,
Qaalib = a mould, model, frame,
Koo-e-yaar = the street where the beloved lives,
_______________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...