Us ko judaa hue bhi zamaana bahut hua,
Ab kya kahein ye qissa puraana bahut hua,
Dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaaq,
Ai marg-e-naa-gahaa'n tera aana bahut hua,
Hum khuld se nikal to gaye hain par ai khuda,
Itne se waaqiye ka fasaana bahut hua,
Ab hum hain aur saare zamaane ki dushmani,
Us se zara sa rabt badhaana bahut hua,
Ab kyoon na zindagi pe mohabbat ko waar dein,
Is aashiqi mein jaan se jaana bahut hua,
Ab tak to dil ka dil se ta'arruf na ho saka,
Maana ki us se milna milaana bahut huā
Kya kya na hum kharaab huye hain magar ye dil,
Ai yaad-e-yaar tera Thikaana bahut hua,
Kahta tha naaseho'n se mere munh na aaiyo,
Phir kya tha ek hoo ka bahaana bahut hua,
Lo phir tere labo'n pe usi bewafa ka zikr,
"Ahmad-faraz'" tujh se kaha na bahut hua..!!
_ Ahmad Faraz
___
Marg-e-naa-gahaa'n = untimely death
आकस्मिक मृत्यु,
Khuld = paradise, heaven
जन्नत, स्वर्ग,
Naaseho'n = admonisher, sincere friend, counsellor,
_______________
No comments:
Post a Comment