Sunday, November 26, 2017

Aise Chup Hain Ke Ye Manzil Bhi Kadi Ho Jaise

Aise chup hain ke yeh manzil bhi kadi ho jaise,
Tera milna bhi judaai ki ghadi ho jaise,

Apne hi saaye se har gaam laraz jaata hoon,
Raaste main koi deewaar khadi ho jaise,

Kitne nadaan hain tere bhoolne waale ke tujhe,
Yaad karne ke liye umr padi ho jaise,

Tere maathe ki shikan pehle bhi dekhi thi
magar,
Yeh girah ab ke mere dil main padi ho jaise,

Manzilein door bhi hain manzilein nazdeek bhi hain,
Apne hi paao'n main zanjeer padi ho jaise,

Aaj dil khol ke roye hain to yoon khush hain Faraz,
Chand lamho'n ki yeh raahat bhi badi ho jaise..!!

_ Ahmad Faraz
_______________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...