Silsiley tod gaya woh sabhi jaate jaate,
Warna itne to maraasim they ke aate jaate,
Shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahi'n behtar tha,
Apne hisse ki koi shamma jalaate jaate,
Kitna asaan tha tere hijr main marna jaana,
Phir bhi ek umr lagi jaan se jaate jaate,
Jashn-e-maqtal hi na barpa hua warna hum bhi,
Paa-ba-jaulaa'n hi sahi naachte gaate aate,
Us ki woh jaane usey paas-e-wafa tha ke na tha,
Tum Faraz apni tarf se to nibhaate jaate..!!
_ Ahmad Faraz
___
Shikwa-e-zulmat-e-shab = complaint of darkness of night,
Jashn-e-maqtal = celebration at site of murder, place of execution,
Paa-ba-jaulaa'n = chained feet,
Paas-e-wafa = Fidelity, Regard, Respect for love,
_______________
No comments:
Post a Comment