Sunday, November 26, 2017

Ab Ke Hum Bichhdein To Shayad...

Ab Ke Hum Bichhdein To Shayad Kabhi Khwaabo'n Mein Milen,
Jis Tarah Sookhe Huye Phool Kitaabo'n Mein Milen,

Dhoondh Ujdey Huye Logo'n Mein Wafa Ke Moti,
Ye Khazaane Tujhe Mumkin Hai Kharaabo'n Mein Milen,

Ghum-e-duniya Bhi Ghum-e-yaar Mein Shaamil Kar Lo,
Nasha Badhta Hai, Sharaabein Jo Sharaabo'n Mein Milen,

Tu Khuda Hai, Na Mera Ishq Farishto'n Jaisa,
Dono'n Insaan Hain, To Kyoon Itne Hijaabo'n Mein Milen,

Aaj Hum Daar Pe Kheenche Gaye Jin Baato'n Par,
Kya Ajab, Kal Wo Zamaane Ko Nisaabo'n Mein Milen,

Ab Na Wo Main,  Na Wo Tu Hai, Na Wo Maazi Hai "Faraz",
Jaise Do Saaye Tamanna Ke Saraabo'n Mein Milen..!!

_ Ahmad Faraz
___
Daar = gallows
place, house,
Nisaabo'n = curricula, texts, syllabus,
Saaye = shadow, shade, protection,
Saraabo'n = mirage, illusion,
_______________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...