Sunday, November 26, 2017

Ab Ke Tajdeed-e-wafa Ka Nahin Imkaa'n Jaanaa

Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahin imkaa'n jaanaa,

Yaad kya tujh ko dilaayein tera paimaa'n jaanaa,

Yoonhi mausam ki ada dekh ke yaad aaya hai,

Kis qadar jald badal jaate hain insaa'n jaanaa,

Zindagi teri ataa thi so tere naam ki hai,

Hum ne jaise bhi basar ki tera ehsaa'n jaanaa,

Dil ye kahta hai ki shaayad hai fasurda tu bhi,

Dil ki kya baat karein dil to hai naadaa'n jaanaa,

Awwal awwal ki mohabbat ke nashe yaad to kar,

Be-piye bhi tera chehra tha gulistaa'n jaanaa,

Aakhir aakhir to ye aalam hai ki ab hosh nahin,

Rag-e-meena sulag utthi ke rag-e-jaa'n jaana,

Muddato'n se yahi aalam na tawaqqo na ummeed,

Dil pukaare hi chala jaata hai jaanaa jaanaa,

Hum bhi kya saada the hum ne bhi samajh rakkha tha,

Ghum-e-dauraa'n se juda hai ghum-e-jaanaa jaanaa,

Ab ke kuchh aisi saji mahfil-e-yaaraa'n jaanaa,

Sar-ba-zaanoo hai koi sar-ba-garebaa'n jaanaa,

Har koi apni hi aawaaz se kaanp uthta hai,

Har koi apne hi saaye se hiraasaa'n jaanaa,

Jis ko dekho wahi zanjeer-ba-paa lagta hai,

Shahar ka shahar hua daakhil-e-zindaa'n jaanaa,

Ab tera zikr bhi shaayad hi ghazal mein aaye,

Aur se aur hue dard ke unvaa'n jaanaa,

Hum ke roothi hui rut ko bhi mana lete the,

Hum ne dekha hi na tha mausam-e-hijraa'n jaana,

Hosh aaya to sabhi khwaab the reza reza,

Jaise udte hue auraaq-e-pareshaa'n jaanaa..!!

_ Ahmad Faraz
___

Tajdeed-e-wafa = Renewal Of Faith, Love,
Imkaa'n = possibility,
Paimaa'n = promise,
Fasurda = Disappointed, Worn-out,  Sad,
Rag-e-meena = vein of goblet,
Rag-e-jaa'n = the jugular vein,
Ghum-e-dauraa'n = sorrows of the times,
Ghum-e-jaanaa = sorrow of the beloved,
Sar-ba-zaanoo = head on knees,
Sar-ba-garebaa'n = head in collar,
Hiraasaa'n = harassed,
Zanjeer-ba-paa = feet encased in chains,
Daakhil-e-zindaa'n = admission into prison,
Unvaa'n = title, preface, heading,
Auraaq-e-pareshaa'n = scattered pages,
_______________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...