Gaye mausam mein jo khiltey they
gulaabo'n ki tarah,
Dil pe utrengey wahi khwaab
azaabo'b ki tarah,
Raakh ke Dher pe ab raat basar
karni hai,
Jal chuke hain mere khemey mere
khwaabo'n ki tarah,
Sa'at-e-deed ki aariz hain gulaabi
ab tak,
Awwalee'n lamho'n ke gulnaar
hijaabo'n ki tarah,
Wo samundar hai to phir roh ko
shaadaab karey,
Tishnagi kyoon mujhey deta hai
saraabo'n ki tarah,
Ghair-mumkin hai tere ghar ke
gulaabo'n ka shumaar,
Mere ristey hue zakhmo'n ke
hisaabo'n ki tarah,
Yaad to hongi wo baatein tujhey
ab bhi lekin,
Shelf mein rakkhi hui band
kitaabo'n ki tarah,
Kaun jaaney ki naye saal mein tu
kis ko padhey,
Tera mei'aar badalta hai
nisaabo'n ki tarah,
Shokh ho jaati hai ab bhi teri
aankho'n ki chamak,
Gaahe gaahe tere dilchasp
jawaabo'n ki tarah,
Hijr ki shab meri tanhaai pe
dastak degi,
Teri khushboo mere khoye huye
khwaabo'n ki tarah..!!
- Parween Shakir
___
Sa'at-e-deed = moment of sight, looking,
Aariz = cheek,
Awwalee'n = first, foremost,
Gulnaar = pomegranate blossom,
Hijaabo'n = veils, curtains, modesty, bashfulness,
Shaadaab = verdant, blooming green,
Tishnagi = thirst, desire, longing,
Saraab = mirage, illusion,
Me'aar = standard, yardstick, benchmark,
Nisaab = curricula, text, syllabus,
__________________
Gulaab haath mein ho aankh mein
sitaara ho,
Koi wajood mohabbat ka isti'aara ho,
Main gahrey paani ki is rau ke saath
bahti rahun,
Jazeera ho ke muqaabil koi kinaara ho,
Kabhi-kabhaar usey dekh lein kahin
mil lein,
Ye kab kaha ths ke wo khush-badan
hamaara ho,
Qusoor ho to humaare hisaab mein
likh jaaye,
Mohabbato'n mein jo ehsaan ho
tumhaara ho,
Ye itni raat gaye kaun dastakein dega,
Kahin hawa ka hi us ne na roop dhaara ho,
Ufuq to kya hai dar-e-kahkashaa'n
bhi chhoo aayen,
Musaafiro'n ko agar chaand ka ishaara ho,
Main apney hissey ke sukh jis ke naam
kar Daaman,
Koi to ho jo mujhey is tarah ka pyaara ho,
Agar wajood mein aahang hai to vasl bhi hai,
Wo chaahey nazm ka tukda ke nasr-paara ho..!!
- Parween Shakir
___
Isti'aara = metaphor,
Ufuq = horizon,
Aahang = rhythm, harmony, melody, musical composition
राग, गान, नग़्मा
संकल्प, इरादा समय,
Nasr-paara = work of prose,
_______________
Goonge labo'n pe harf-e-tamanna
kiya mujhe,
Kis kor-chashm-shab mein sitaara
kiya mujhe,
Zakhm-e-hunar ko samjhe hue hai
gul-e-hunar,
Kis shahr-e-na-sipaas mein paida
kiya mujhe,
Jab harf-na-shanaas yahaan
lafz-fahm hain,
Kyoon zauq-e-sheyr de ke tamaasha
kiya mujhe,
Khushboo hai chaandni hai lab-e-joo hai
aur main,
Kis be-panaah raat mein tanha
kiya mujhe,
Di tishnagi khuda ne to chashme
bhi de diye,
Seene mein dasht aankho'n mein dariya
kiya mujhe,
Main yoon sambhal gayi ke teri
bewafaai ne,
Be-aitebaariyo'n se shanaasa
kiya mujhe,
Wo apni ek zaat mein kul kaainaat
tha,
Duniya ke har fareb se milwa
diya mujhe,
Auro'n ke saath mera ta'arruf bhi
jab huaa,
Haatho'n mein haath le ke wo socha
kiya mujhe,
Beete dino'n ka aks na aainda ka
khayaal,
Bas khaali khaali aankho'n se dekha
kiya mujhe..!!
- Parween Shakir
___
Kor-chashm-shab = blind eyes of night,
Zakhm-e-hunar = wound of skill,
Gul-e-hunar = flower of talent,
Shahar-e-na-sipaas = thankless city,
Harf-na-shanaas = unknown word,
Lafz-fahm = word of understanding, one who understands words,
Zauq-e-sheyr = taste for couplets,
Lab-e-joo = eyes praised as "Jheel" in poetry,
_______________
Harf-e-taaza nayi khushboo mein likha
chaahta hai,
Baab ek aur mohabbat ka khula
chaahta hai,
Ek lamhe ki tawajjoh nahin
haasil us ki,
Aur ye dil ki usey had se siwaa
chaahta hai,
Ek hijaab-e-tah-e-iqraar hai maane
warna,
Gul ko ma'aloom hai kya dast-e-sabaa
chaahta hai,
Ret hi ret hai is dil mein musaafir
mere,
Aur ye sahra tera naqsh-e-kaf-e-paa
chaahta hai,
Yahi khaamoshi kai rang mein
zaahir hogi,
Aur kuchh roz ki wo shokh khulaa
chaahta hai,
Raat ko maan liya dil ne muqaddar
lekin,
Raat ke haath pe ab koi diya
chaahta hai,
Tere paimaane mein gardish nahin
baaqi saaqi,
Aur teri bazm se ab koi utha
chaahta hai..!!
- Parween Shakir
___
Siwaa = except, but, over and above,
Hijaab-e-tah-e-iqraar = shyness in expressing acquiescence,
Dast-e-sabaa = hand of breeze,
Naqsh-e-kaf-e-paa = footprints,
Gardish = revolution, circulation, misfortune, wandering about,
_______________
Hawa mahak uthi rang-e-chaman
badalne Laga,
Wo mere saamne jab pairahan
badalne laga,
baham hue hain to ab guftugoo
nahin hoti,
bayaan-e-haal mein tarz-e-sukhan
badalne laga,
Andhere mein bhi mujhe jagmaga
gaya hai koi,
Bas ek nigaah se raag-e-badan
badalne laga,
Zara si der ko baarish ruki thi
shaakho'n par,
Mizaaj-e-sosan-o-sarv-o-saman
badalne laga,
Faraaz-e-koh pe bijli kuchh is
tarah chamki,
Libaas-e-waadi-o-dasht-o-daman
badalne laga.!!
- Parween Shakir
___
Pairahan = dress, apparel
लिबास,
Baham = along with
एक साथ,
Tarz-e-sukhan = style of poetry,
Mizaaj-e-sosan-o-sarv-o-saman = mood of lily or iris; cypress or fir- tree and jasmine,
Faraaz-e-koh = high mountain,
Libaas-e-waadi-o-dasht-o-daman = apparel of valley and deserts,
_______________
Hawa-e-taaza mein phir jism-o-Jaa'n
basaane ka,
Dareecha kholein ke hai waqt us ke
aane ka,
Asar hua nahin us par abhi
zamaane ka,
Ye khwaab-zaad hai kirdaar kis
fasaane ka,
Kabhi kabhi wo humein be-sabab
bhi milta hai,
Asar hua nahin us par abhi
zamaane ka,
Abhī main ek mahaaz-e-digar pe
uljhi hoon,
Chuna hai waqt ye kya mujh ko
aazmaane ka,
Kuchh is tarah ka pur-asraar hai
tera lahja,
Ke jaise raaz-kushaa ho kisi
khazaane ka..!!
- Parween Shakir
___
Mahaaz-e-digar = other front,
Pur-asraar = mysterious,
Raaz-kushaa = decoder, secret revealer,
_______________
Ilzaam tha diye pe na taqseer
raat ki,
Hum ne to bas hawa ke ta'alluq se
baat ki,
Har subah jab ki subah-e-qayaamat ki
tarah aaye,
Aise mein kaun hoga jo soche
sabaat ki,
Takleef to hui magar ai
naakhun-e-malaal,
Khulne lagi girah bhi koi apni
zaat ki,
Zanjeer hai jazeera hai ya
shaakh-e-be-samar,
Ab kaun si lakeer salaamat hai
haath ki,
Marne agar na paayi to zinda
bhi kab rahi,
Tanha kati wo umr jo thi tere
saath ki,
Phir bhi na mera qaafila lutne se
bach saka,
Maine khabar to rakkhi thi ek ek
ghaat ki..!!
- Parween Shakir
___
Taqseer = error, crime, sin
ग़लती, क़ुसूर,
Sabaat = stability, durability,
naakhun-e-malaal = talons; nails of anguish,
_______________
Isi mein khush hoon mera dukh
koi to sahta hai,
Chali chalungi jahaan tak ye
saath rahta hai,
Zameen-e-dil yoonhi shaadaab to
nahin ai dost,
Qareeb mein koi dariya zaroor
bahta hai,
Ghane darakhto'n ke girne pe
maa-siwaa-e-hawa,
Azaab-e-dar-badri aur kaun
sahta hai,
Na jaane kaun sa fiqra kahaan
raqam ho jaaye,
Dilo'n ka haal bhi ab kaun kis se
kahta hai,
Maqaam-e-dil kahin aabaadiyo'n
se hai baahar,
Aur is makaan mein jaise ki koi
rahta hai,
Mere badan ko nami kha gayi hai
ashko'n ki,
Bhari bahaar mein kaisa makaan dhhahta hai..!!
- Parween Shakir
___
Maa-siwaa-e-hawa = except breeze,air,
Azaab-e-dar-badri = pain of vagrancy,
Fiqra = sentence,
Raqam = chronicle/ put on record
amount
लिखना,
_______________
Jala diya shajar-e-jaa'n ke
sabz-baḳht na tha,
Kisi bhi rut mein hara ho ye wo
darakht na tha,
Wo khwaab dekha tha shahzaadiyo'n
ne pichhle pahar,
Phir us ke baad muqaddar mein
taaj-o-takht na tha,
Zara se jabr se main bhi to toot
sakti thi,
Meri tarah se tabiyat ka wo bhi
sakht na tha,
Mere liye to wo khanjar bhi phool
ban ke utha,
Zubaan sakht thi lahja kabhi
karakht na tha,
Andheri raato'n ke tanha musafiro'n
ke liye,
Diya jalaata hua koi saaz-o-rakht
na tha,
Gaye wo din ki mujhi tak tha mera
dukh mahdood,
Khabar ke jaisa ye afsaana
lakht-lakht na tha.!!
- Parween Shakir
___
Karakht = rigid, hard, solid, dry,
Saaz-o-rakht = tools and apparatus,
Mahdood = bounded, limited,
Lakht-lakht = piece by piece,
_______________
No comments:
Post a Comment