Kya kare meri masihaai bhi
karne vaala,
Zakhm hi ye mujhe lagta nahin
bharne vaala...
Zindagi se kisi samjhaute ke
baa-vasf ab tak,
Yaad aata hai koi maarne
marne vaala...
Us ko bhi hum tere kooche mein
guzaar aaye hain,
Zindagi mein wo jo lamha tha
sanwarne vaala...
Shaam hone ko hai aur aankh mein
ek khwaab nahin,
Koi is ghar mein nahin raushni
karne vaala...
Dastaras mein hain anaasir ke
iraade kis ke,
So bikhar ke hi raha koi
bikharne vaala...
Us ka andaaz-e-sukhan sab se
juda tha shaayad,
Baat lagti hui lahja wo
mukarne vaala...
Isi ummeed par har shaam bujhaaye
hain charaagh,
Ek taaza hai sar-e-baam
ubharne vaala..!!
- Parween Shakir
___
Baa-vasf = with qualities,
Dastaras = reach, access
within one's power, greatness, ability,
Anaasir = elements,
Sar-e-baam = on top of the terrace,
No comments:
Post a Comment