Tuesday, November 21, 2017

Parween Shakir |||

Mar Bhi Jaaon To Kahaan
Log Bhula Hi Dengey,
.
Lafz Mere, Mere Honey Ki
Gawaahi Dengey..!!

- Parween Shakir

_______________

Dard phir jaaga purana zakhm phir
taaza hua,
Fasl-e-gul kitnay qareeb aaii hai,
andaza hua,
Subah yuun nikli sanwar kay jis
Tarah koi dulhan,
shabnam aawaiza hui rang-e-shafaq
ghaza hua,
Haath meray bhool bethay dastakein
Denay ka fun,
Band mujh par jab say us kay ghar ka
Darwaaza hua,
Rail ki seeti mein kaisay hijr ki
Tamheed thi,
Uss ko rukhsat kar kay, ghar lautay
To andaza hua.!!

- Parween Shakir
___
Seeti = Whistle,
Fun = Art,
Tamheed = Introduction,

_______________

Kya kya na khwaab hijr ke mausam
mein kho gaye,
Hum jaagte rahe they magar bakht
so gaye,
Us ne peyaam bhejey to rastey mein
rah gaye,
Hum ne jo khat likhe woh hawaa burd
ho gaye,
Mein sheher-e -gul mein zakham ka
chehra kisey dikhaaun,
Shabnam badast log to kaantey
chubho gaye,
Aanchal mein phool le ke kahaan
ja rahi hoon mein,
Jo aaney waaley log they, woh
log to gaye,
Kya jaaniye ufaq ke udhar kya
tilism hai,
Lautey nahin zameen pe ek baar
jo gaye,
Jaise badan se qos-e-qaza
phootne lagi,
Baarish ke haath phool ke sab
zakhm dho gaye,
Ankhon mein dheere dheerey utar
ke puraaney ghum,
Palkon main nanhe nanhe sitaarey
piro gaye,
Woh bachpney ki need to ab khwaab
ho gayi,
Kya umar thi ke raat huyi aur
so gaye,
Kya dukh they, kaun jaan sakega
nigar-e-shab,
Jo mere aur tere dupatey
bhigo gaye..!!

- Parween Shakir
___
Tilism = Magic,
Piro = Attach,
Hawaa-Burd = Flown Away with Air,
_______________

Abr-e-bahaar ne
phool ka chehra
Apne banafshi hath mein le ker
Aise chooma
Phool ke saarey dukh
Khushbu ban kar beh nikley.!!

- Parween Shakir
_______________

Mujhe teri mohabbat ne ajab ek
roshni baskhshi,
Mein is duniya ko ab pehle se behter
dekh sakti hoon.!!

- Parween Shakir
_______________

Hoon To Khafa Us Se,
Per Jaanay Phir Bhi Kyun.?..
Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna
Achcha Lagta Hai…
Haqeeqat Se Hoon Door,
Ye Mujh Ko Hai Pata…
Per Jaan K Anjaan Rehna
Achcha Lagta Hai…
Qaail Nahi Main Ronay Ki
Phir Bhi Kabhi Kabhi…
Tanhai Main Kuch Der Rona
Acchha Lagta Hai…
Tu Mera Tha,
Tu Mer Hai,
Tu Mera Rahay Ga…
Kuch Pal Is Khawab Mein Khona
Achcha Lagta Hai….!!

- Parween Shakir
_______________

Hum Tasleem Kartey Hain
Humain Fursat Nahi Milti.
Magar
Ye Bhi Zara Socho
Tumhain Jab Yaad Kartey Hain
Zamana Bhool Jatey Hain.!!

- Parween Shakir
_______________

Tooti hai meri Neend magar
tum ko es sy kya
Bajtay rahein hawaoon say dar
tum ko es sy kya...

Tum moj moj Misl-e-Saba Ghoomty
raho
Kat jaayen meri soch k par,
tum ko es sy kya

Auron ka hath thaamo, unhen
rasta dikhao
Mein bhool jaoon apna hi ghar,
tum ko es sy kya...

Le jaayein Mujhay Maal-e-Ganeemat
k sath adouu
Tum nay to daal di hai sapar,
tum ko es sy kya...

Tum nay to thak k dasht mein
khaimay laga liye
tanha katay kisi ka safar,
tum ko es sy kya..!!!

- Parween Shakir
_______________

Tash'khees Baja hai ke Mujhe
ishq hua Hai,
Nuskhay mein Likho, Un sey
Mulaqaat Musalsal….!!

- Parween Shakir
_______________

Aadat Hi Bana Li Hai Is Sheher k
Logon Nay.....
Andaaz badal lena,
awaaz badal lena

Dunia ki mohabbat main
atwaar badal lena
Mausam jo naya aaye
raftaar badal lena
Agyaar wohi rakhna
ahbaab badal lena

Aadat hi bana li hai es sheher k
logon nay

Rastey main agar milna nazron ko
jhuka lena
Awaaz agar do to katra k nikal jana

Har ek say juda rehna
har ek say khafa rehna
Har ek ka gila karna

Jaty huye raahi ko
manzil ka pata day kar
rastey main rula dena

Aadat hi bana li hai es sheher k
logon nay.!!

- Parween Shakir
_______________

kal halki halki barish thi,
kal sard hawa ka raqs bhi tha,

Kal phool bhi nikhray nikhray the,
Kal un main aap ka aqs bhi tha,

kal baadal gehray kaaley the,
Kal chaand pe laakhon pehrey the,

Kuch tukdey aap ki yaadon ke,
Badi der se dil main thehrey the..

Kal yaadein uljhi uljhi thi'n,
Aur kal tak yeh na suljhi thi'n..

Kal yaad bahut tum aaye the,
Kal yaad bahut tum aaye the..!!

- Parween Shakir
_______________

Kamaal-e-zabt ko khud bhii to
aazamaungii,
Main apne haath se us kii dulhan
sajaaungii,

Supurd kar ke usey chaandanii ke
haathon,
Main apne ghar ke andhero'n ko laut aaungii,

Badan ke karb ko wo bhii samajh
na payega,
Main dil mein rouungii aankhon
mein muskuraungii,

Wo kyaa gayaa ke rafaaqat ke
saare lutf gaye
Main kis se ruuth sakuungii kisey
manaaungii,

Wo ek rishtaa-e-benaam bhii nahiin
lekin
Main ab bhii us ke ishaaron pe sar jhukaaungii,

Bichhaa diyaa thaa gulaabon ke
saath apanaa wajuud,
Wo so ke uthey to khwaabon kii
raakh uthaaungii,

Ab us kaa fan to kisii aur se
mansuub huaa,
Main kis kii nazm akele mein
gungunaungii,

Samaa'aton mein ghaney jangalon
ki saansein hain,
Main ab kabhii terii aawaaz
sun na paaungii,

Jawaz dhuundh rahaa thaa nayii
muhabbat kaa,
Wo kah rahaa thaa ke main us ko
bhuul jaaungii,

- Parween Shakir
___
Kamaal-e-zabt = height of tolerance,
Rafaaqat = company, friendships, companionships,
Mansoob = appointed, nominated, fixed, related to manifestation,
Wajood = existence, being, life,
Samaa'at = hearing power,
_______________

Bahut roya wo hum ko yaad kar ke,
Humari zindagi barbaad kar ke,

Palat kar phir yahin aa jaayenge hum
Wo dekhe to hamein aazaad kar ke,

Rihaai ki koi soorat nahin hai,
Magar haan, minnat-e-sayyad kar ke 

Badan mera chhua tha us ne lekin,
Gaya hai ruuh ko aabaad kar ke,

Har aamir tuul dena chaahta hai
Muqarrar zulm ki mi'aad kar ke.!!

- Parween Shakir
___
Aamir = dictator, strongman, ruler,
Tuul = length, longitude, diffusiveness,
Muqarrar = fixed, assuredly, appointed, established,
Mi'aad = duration,
_______________

Baab-e-hairat se mujhe izn-e-safar
Honey ko hai,
Tahniyat ai dil ki ab deewar dar
Honey ko hai,

Khol dein zanjeer-e-dar aur hauz ko
Khaali karein,
Zindagi ke baagh mai ab sah-pahar
Honey ko hai,

Maut ki aahat sunaayi de rahi hai
Dil mai kyuun,
Kya mohabbat se bahut khaali ye
Ghar honey ko hai,

Gard-e-raaah ban kar koi haasil safar
Ka ho gaya,
Khaak mai mil kar koi la'al-o-guhar
Honey ko hai,

Ek chamak si to nazar aayi hai apni
Khaak mai,
Mujh pe bhi shayad tawajjoh ki nazar
Hone ko hai,

Gum-shuda basti musaafir laut kar
aatey nahin,
Mo'ajaza aisa magar baar-e-digar
Honey ko hai,

Raunaq-e-baazar-o-mahfil kam nahin
Hai aaj bhi,
Saneha is shahar mai koi magar
Honey ko hai,

Ghar ka saara raasta is sarkhushi
Mai katt gaya,
Is se agley mod koi hum-safar
Honey ko hai..!!

- Parween Shakir
___
Baab-e-hairat = gate of wonder
Door, gate; chapter, section, division (of a book), head, heading; subject, affair, business, topic, matter, particular, case; head of accounts, cess, tax;—postposn. In the matter (of,-ke), in the case (of), in respect (of), with regard (to),
Izn-e-safar = permission for journey,
Tahniyat = good wishes, greetings,
Zanjeer-e-dar = chain on the door,
Hauz = a reservoir, a fountain,
Sah-pahar = afternoon,
Gard-e-raah = dust of way,
La'al-o-gauhar = rubies and pearls,
Mo'ajaza = miracle,
Baar-e-digar = weight of others,
phir se, dusri baar,
Sarkhushi = happiness,

_______________

Bakht se koi shikaayat hai na
aflaak se hai,
Yahi kya kam hai ki nisbat mujhey is
Khaak se hai,

Khwaab mai bhi tujhey bhoolun to
Aavaa rakh mujh se,
Wo rawayya jo hawa ka
khas-o-khaashaak se hai,

Bazm-e-anjum mai qabaa khaak ki
Pahni mainey,
Aur meri saari fazeelat isi
poshaak se hai,

Itni raushan hai teri subah ki hota
Hai gumaa'n,
Ye ujaala to kisi deeda-e-namnaak
Se hai,

Haath to kaat diye kooza-garo'n
ke hum ne,
Mo'ajazey ki wahi ummeed magar
Chaak se hai..!!

- Parween Shakir
___
Bakht = destiny/ luck,
Aflaak = skies, heavens
आकाश-समूह, आकाश, सब आसमान,
Rawaa = right, admissible, lawful, current,
Rawayya = behaviour, custom, manner,
Khas-o-khaashaak = dried leaves and straw/ litter/ trash
घास तिनके,
Bazm-e-anjum = Gathering Of Stars,
Qabaa = apparel, garment,
Fazeelat = excellence, knowledge, learning, proficiency,
Deeda-e-namnaak = tearful eyes,
Kooza-garo'n = potters,
Chaak = slit/ torn/ cut,
_______________

Baarish hui to phoolon ke tan
Chaak ho gaye,
Mausam ke haath bhiig ke
Saffaak ho gaye,

Baadal ko kya khabar hai ki baarish
Ki chaah mai,
Kaisey buland-o-baala shajar
Khaak ho gaye,

Jugnoo ko din ke waqt parakhne
ki zid karein,
Bachchey humaarey ahd ke
chaalaak ho gaye,

Lahra rahi hai barf ki chaadar
Hata ke ghaas,
Sooraj ki shah pe tinke bhi
Bebaak ho gaye,

Basti mai jitney aab-gazeeda the
Sab ke sab,
Dariya ke rukh badaltey hi
tairaak ho gaye,

Sooraj-dimaagh log bhi
Ablaagh-e-fikr mai,
Zulf-e-shab-e-firaaq ke
pechaak ho gaye,

Jab bhi ghareeb-e-shahar se
kuchh guftugoo hui,
Lahjey hawa-e-shaam ke
Namnaak ho gaye..!!

- Parween Shakir
___
Saffaak = cruel, tyrant
अत्याचारी, निष्ठुर,
Buland-o-baala = high and superior,
Shah = Check,
Bebaak = bold and fearless,
Aab-gazeeda = harmed by water (of river)
नदी के पानी से नुकसान पहुचना,
Ablaagh-e-fikr = communication of thought,
Zulf-e-shab-e-firaaq = tresses of the night of separation,
Pechaak = curly,
Ghareeb-e-shahar = migrant,
Namnaak = moist, damp,

_______________

Dasney lage hain khwaab magar
kis se boliye,
Main jaanti thi paal rahI hoon
sanpoliye,

Bas ye hua ke us ne takalluf se
baat ki,
aur hum ne rotey rotey dupattey
bhigo liye,

Palko'n pe kachchi neendo'n ka ras
phailta ho jab,
Aise mai aankh dhuup ke rukh
kaisey kholiye,

Teri barhana-paaii ke dukh
baant'tey hue,
Hum ne khud apney paano'n mai
kaantey chubho liye,

Main tera naam le ke tazabzub mai
pad gayi,
Sab log apney apney azeezo'n
ko ro liye,

Khushboo kaheen na jaaye pa israar
hai bahut,
Aur ye bhi aarzoo ki zara zulf
kholiye,

Tasveer jab nayi hai naya canvas
bhi hai,
Phir tashtari mai rang puraaney
na gholiye.!!

- Parween Shakir
___

Takalluf = formality,
Rukh = face, appearance,direction, features/ the castle in the game of chess,
Barhana-paaii = bare feet,
Tazabzub = perplexity, uncertainty, ambiguity,
Pa = on,
Israar = persevering, obstinacy, insist,
Tashtari = palette/ salver /saucer,

_______________

Dhanak dhanak meri poro'n ke
Khwaab kar dega,
Wo lams mere badan ko
Gulaab kar dega,

Qabaa-e-jism ke har taar se
Guzarta huaa,
Kiran ka pyaar mujhey aaftaab
Kar dega,

Junoo'n-pasand hai dil aur tujh
Tak aaney mai,
Badan ko naav lahoo ko chanaab
Kar dega,

Main sach kahungi magar phir
Bhi haar jaaungi,
Wo jhooth bolega aur la-jawaab
Kar dega,

Anaa-parast hai itna ke baat
Se pahley,
Wo uth ke band meri har kitaab
Kar dega,

Sukoot-e-shahar-e-sukhan mai
Wo phool sa lahja,
Samaa'aton ki fazaa khwaab khwaab
Kar dega,

Isi tarah se agar chaahta raha
Paiham,
Sukhan-warii mai mujhey intikhaab
Kar dega,

Meri tarah se koi hai jo zindagi
Apni,
Tumhaari yaad ke naam intisaab
Kar dega.!!

- Parween Shakir
___
Dhanak = rainbow,
Poro'n = finger tips,
Lams = the sense of touch, touch,
Qabaa-e-jism = apparel of body, skin,
Taar = darkness/ tatters,
Junoo'n-pasand = fond of frenzy,
Sukoot-e-shahar-e-sukhan = silence of city of poetry,
Samaa'aton = hearing power,
Fazaa = ambience
वातावरण, मौसम,
Paiham = close, together, successively, continuous
लगातार,
Sukhan-warii = poetry writing,
Intikhaab = election, selection
चुना हुआ,
Intisaab = dedication,
_______________

Dil ka kya hai wo to chaahega musalsal milna,
Wo sitamgar bhi magar sochey kisi pal milna,

Waa'n nahin waqt to hum bhi hain adeem-ul-fursat,
Us se kya miliye jo har roz kahey kal milna,

Ishq ki raah ke musaafir ka muqaddar ma'aloom,
Shahar ki soch mai ho aur use jangal milna,

Us ka milna hai ajab tarah ka milna jaisey,
Dasht-e-ummeed mai andeshey ka baadal milna,

Daaman-e-shab ko agar chaak bhi kar lain to kahaan,
Noor mai dooba huaa subah ka aanchal milna.!!

- Parween Shakir
___
Waa'n = there,
Adeem-ul-fursat = having no free time, having no leisure, very busy,

_______________

Dukh nawishta hai to aandhi ko likha aahista,
Ai khuda ab ke chaley zard hawa aahista aahista,

Khvaab jal jaayein meri
chashm-e-tamanna bujh jaaye,
Bas hatheli se udey rang-e-hina aahista,

Zakhm hi kholney aayi hai to ujlat kaisi,
Chhoo mere jism ko ai baad-e-sabaa aahista,

Tootney aur bikharney ka koi mausam ho,
Phool ki ek duaa mauj-e-hawa aahista,

Jaanti hoon ke bichhadna teri majboori hai,
Par meri jaan miley mujh ko sazaa aahista,

meri chaahat mai bhi ab soch ka rang aaney laga,
Aur tera pyaar bhi shiddat mai hua aahista,

Neend par jaal se padney lage aawaazo'n ke,
Aur phir honey lagi teri sadaa aahista,

raat jab phool ke rukhsaar pe dheerey se jhuki,
Chaand ne jhuk ke kaha aur zara aahista,

- Parween Shakir
___

Nawishta = written , inscribed,
Chashm-e-tamanna = eye of desire,
Rang-e-hina = colour of henna,
Ujlat = haste/ hurry,
Baad-e-sabaa = morning breeze, the zephyr, a refreshing wind
सवेरे की हवा,
Mauj-e-hawaa = wave of breeze
हवा की मौज,
Shiddat = violence, force, vehemence, severity,
Rukhsaar = cheek,

________________

Ek sooraj tha ke taaro'n ke gharaane se utha,
Aankh hairaan hai kya shakhs zamaane se utha,

Kis se poochhun tere aaqa ka pata ai rahwaar,
Ye alam wo hai na ab tak kisi shaane se utha,

Halqa-e-khwaab ko hi gird-e-guloo kas daala,
Dast-e-qaatil ka bhi ehsaan na diwaane se utha,

Phir koi aks shuaaon se na banne paaya,
Kaisa mahtaab mere aaina-khaane se utha,

Kya likha tha sar-e-mahzar jise pahchaante hi,
Paas baitha hua har dost bahaane se utha..!!

- Parween Shakir
___

Rahwaar = roadster, easy paced,
Halqa-e-khwaab = circle of dreams,
Gird-e-guloo = Around throat; neck,
Dast-e-qaatil = Hands of the killer,
Shuaao'n = rays,
Sar-e-mahzar = a petition attested by number of witnesses laid before a judge,
_______________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...