Sunday, November 26, 2017

Kal Hum Ne Bazm-e-yaar Mein Kya Kya Sharaab Pi

Kal hum ne bazm-e-yaar mein kya kya sharaab pi,

Sahra ki tishnagi thi so dariya sharaab pi,

Apno'n ne taj diya hai tu ghairo'n mein ja ke baith,

Ai khaanumaa'n-kharaab na tanha sharaab pi,

Tu hum-safar nahin hai to kya sair-e-gulistaa'n,

Tu hum-suboo nahib hai to phir kya sharaab pi,

Ai dil-girafta-e-gham-e-jaanaa suboo utha,

Ai kushta-e-jafa-e-zamaana sharaab pi,

Ek mehrbaa'n buzurg ne ye mashwara diya,

Dukh ka koi ilaaj nahin, ja sharaab pi,

Baadal garaj raha tha idhar mohtasib udhar,

Phir jab talak ye uqda na suljha, sharaab pi,

Ai tu ke tere dar pe hain rindo'n ke jamghate,

Ek roz us faqeer ke ghar aa, sharaab pi,

Do jaam un ke naam bhi ai peer-e-mai-kada,

Jin raftagaa'n ke saath hamesha sharaab pi,

Kal hum se apna yaar khafa ho gaya 'faraz',

Shaayad ki hum ne had se zyaada sharaab pi..!!

_ Ahmad Faraz

___
Taj = abandoning,
Khaanumaa'n-kharaab = wretched/ anguished/ broken hearted,
Hum-suboo = fellow-drinker,
Dil-girafta-e-gham-e-jaanaa = distressed by the grief caused by beloved,
Suboo = goblet
शराब का बर्तन,
Kushta-e-jafa-e-zamaana = killed by inconstancy of times,
Mohtasib = officer who supervises observance of laws and punishes offenders
हिसाब लेने वाला,
Uqda = knot, problem, mystery
गाँठ, गुत्थी,
Rindo'n = drunkards, ones who like to drink,
Peer-e-mai-kada = bartender, tavern keeper,
Raftagaa'n = those who are dead and gone,

_______________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...