Sunday, November 26, 2017

Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jayega

Aankh se door na ho dil se utar jaayega,
Waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaayega,

Itna maanoos na ho khalwat-e-ghum se apni,
Tu kabhi khud ko bhi dekhega to darr jaayega,

Doobte Doobte kashti ko uchhaala de doon,
Main nahin, koi to saahil pe utar jaayega,

Zindagi teri ataa hai to ye jaane waala,
Teri bakhshish teri dahleez pe dhar jaayega,

Zabt laazim hai magar dukh hai qayamat ka 'faraz',
Zaalim ab ke bhi na royega to mar jaayega..!!

_ Ahmad Faraz
_______________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...