Monday, November 27, 2017

Isi Udaas Khandar Ke Udaas Teelay Par

Isi Udaas Khandar Ke Udaas Teelay Par
Jahaan Pade Hain Nukeele Se Surmayi Kankar,

Jahaan Ki Khaak Pe Shabnam Ke Haar Bikhrey Hain
Shafaq Ki Narm Kiran Jis Pe Jhilmilati Hai,

Shikasta Eenton Pe Makdi Ke Jaal Hain Jis Ja
Yahin Pe Dil Ko Naye Daur Se Do Chaar Kiya,

Kisi Ke Paao'n Ki Aahat Ka Intezaar Kiya
Isi Udaas Khandar Ke Udaas Teelay Par,

Ye Nehar Jis Mein Kabhi Lahar Bhi Uthi Hogi
Jo Aaj Deeda-e-Be-Aab-o-Noor Hai Goya,

Jise Hijaab Ke Rangeen Qamqame Na Mile
Bajaaye Mauj Jahaan Saanp Raqs Karte The,

Yahin Nigaah-e-Tamanna Ko Ashk-Baar Kiya
Kisi Ke Paao'n Ki Aahat Ka Intezaar Kiya
Isi Udaas Khandar Ke Udaas Teelay Par,

Muheeb-e-Ghaar Ke Kone Pe Ye Jhuka Sa Darakht
Fazaa Mein Latki Hui Khokhli Jadein Jis Ki
Ye Tahniya'n Jo Hawaao'n Mein Thartharaati Hain,
Bata Rahi Hain Ke Maazi Ki Yaadgaar Hain Hum,
Inhi Ki Chhaao'n Mein Shaam-e-Junoo'n Se Pyaar Kiya,
Kisi Ke Paao'n Ki Aahat Ka Intezaar Kiya
Isi Udaas Khandar Ke Udaas Teelay Par..!!

-Shameem Karhaani-

اسی اداس کھنڈر کے اداس ٹیلے پر
جہاں پڑے ہیں نکیلے سے سرمئی کنکر
جہاں کی خاک پہ شبنم کے ہار بکھرے ہیں
شفق کی نرم کرن جس پہ جھلملاتی ہے
شکستہ اینٹوں پہ مکڑی کے جال ہیں جس جا
یہیں پہ دل کو نئے درد سے دو چار کیا
کسی کے پاؤں کی آہٹ کا انتظار کیا
اسی اداس کھنڈر کے اداس ٹیلے پر
یہ نہر جس میں کبھی لہر بھی اٹھی ہوگی
جو آج دیدۂ بے آب و نور ہے گویا
جسے حباب کے رنگین قمقمے نہ ملے
بجائے موج جہاں سانپ رقص کرتے تھے
یہیں نگاہ تمنا کو اشک بار کیا
کسی کے پاؤں کی آہٹ کا انتظار کیا
اسی اداس کھنڈر کے اداس ٹیلے پر
مہیب غار کے کونے پہ یہ جھکا سا درخت
فضا میں لٹکی ہوئی کھوکھلی جڑیں جس کی
یہ ٹہنیاں جو ہواؤں میں تھرتھراتی ہیں
بتا رہی ہیں کہ ماضی کی یادگار ہیں ہم
انہیں کی چھاؤں میں شام جنوں سے پیار کیا
کسی کے پاؤں کی آہٹ کا انتظار کیا
اسی اداس کھنڈر کے اداس ٹیلے پر..!!

....شمیم کرہانی.....

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...