Monday, November 27, 2017

Mile Hain Baad Muddat Ke

Mile Hain Baad Muddat Ke
Balaa Ke Sard Hain Lahjey.....
Ke Jalna Bhi Nahi Mumkin
Pikhalna Bhi Nahi Mumkin.....

Ta'alluq Toot Jaane Se
Ummeedein Toot Jaati Hain.....
Dilo'n Mein Hasratein Le Kar
Bahalna Bhi Nahi Mumkin.....

Bahut Nakaamiya'n Le Kar
Huye Hain Khaak Ke Qaidi.....
Chalo Ab Aaj Se, Ghar Se
Nikalna Bhi Nahi Mumkin.....

Usey Itna Na Socha Kar
Teri Aadat Na Ban Jaaye.....

Phir Aisi Aadatein Mohsin
Badalna Bhi Nahi Mumkin..!!

-Mohsin Naqwi-

ﻣﻠﮯ ﮨﯿﮟ ﺑﻌﺪ ﻣﺪﺕ ﮐﮯ, ﺑﻼ ﮐﮯ ﺳﺮﺩ ﮨﯿﮟ ﻟﮩﺠﮯ!
ﮐﮧ ﺟﻠﻨﺎ ﺑﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟﻣﻤﮑﻦ, ﭘﮕﮭﻠﻨﺎ ﺑﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﻣﻤﮑﻦ..

ﺗﻌﻠﻖ ﭨﻮﭦ ﺟﺎﻧﮯ ﺳﮯ, ﺍﻣﯿﺪﯾﮟ ﭨﻮﭦ ﺟﺎﺗﯽ ﮨﯿﮟ!
ﺩﻟﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺣﺴﺮﺗﯿﮟ ﻟﮯ ﮐﺮ, ﺑﮩﻠﻨﺎ ﺑﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟﻣﻤﮑﻦ..

ﺑﮩﺖ ﻧﺎﮐﺎﻣﯿﺎﮞ ﻟﮯ ﮐﺮ, ﮨﻮﺋﮯ ﮨﯿﮟ ﺧﺎﮎ ﮐﮯ ﻗﯿﺪﯼ!
ﭼﻠﻮ ﺍﺏ ﺁﺝ ﺳﮯ ﮔﮭﺮ ﺳﮯ, ﻧﮑﻠﻨﺎ ﺑﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﻣﻤﮑﻦ..

ﺍﺳﮯ ﺍﺗﻨﺎ ﻧﮧ ﺳﻮﭼﺎ ﮐﺮ, ﺗﯿﺮﯼ ﻋﺎﺩﺕ ﻧﮧ ﺑﻦ ﺟﺎﺋﮯ!
ﭘﮭﺮ ﺍﯾﺴﯽ ﻋﺎﺩﺗﯿﮟ"ﻣﺤﺴﻦ" ﺑﺪﻟﻨﺎ ﺑﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﻣﻤﮑﻦ.

ﻣﺤﺴﻦ ﻧﻘﻮﯼ

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...