Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Jaanay Mere,
Tu Kahaan Hai Magar, Ai Dost Puraanay Mere,
Tu Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajassus Bekaar,
Barq-e-Awaara Ki Manind Thikhane Mere,
Shama Ki Lau Thi Ke Wo Tu Tha Magar Hijr Ki Raat,
Der Tak Rota Raha Koi Sirhaane Mere,
Khalq Ki Bekhabri Hai Ke Meri Ruswaai,
Log Mujh Ko Sunate Hain Fasaane Mere,
Lut Ke Bhi Khush Hun Ashkon Se Bhara Hai Daaman,
Dekh Ghaarat-Gar-e-Dil Ye Bhi Khazaane Mere,
Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Us Ke Bagair,
Jis Ke Hote Hue Hote Thay Zamaane Mere,
Kash Tu Bhi Meri Aawaaz Sunta Ho,
Phir Pukaara Hai Tujhe Dil Ki Sadaa Ne Mere,
Kash Tu Bhi Kabhi Aa Jaye Masihaai Ko,
Log Aate Hain Bahut Dil Ko Dukhane Mere,
Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Keh Sakta,
Baat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda Ne Mere,
Tu Hai Kis Haal Main Ai Zood-Faraamosh Mere,
Mujh Ko To Chheen Liya Ahd-e-Wafa Ne Mere,
Charaagar To Bahut Hain Magar Ai Jaan-e-Faraz,
Juz Tere Aur Koi Ghum Na Jaane Mere..!!
_ Ahmad Faraz
___
Juz = besides, except, other than
सिवाय, के सिवा, अलग से,
Tajassus = investigating, search, enquiry,
Barq-e-Awaara = vagrant leaf,
Khalq = people, mankind,
Ghaarat-Gar-e-Dil = destroyer of heart,
Zood-Faraamosh = one who forgets easily, beloved,
_______________
No comments:
Post a Comment