Thursday, November 23, 2017

Rasta Bhi Kathin Dhoop Mein Shiddat Bhi Bahut Thi

Rasta bhi kathin dhoop mein
shiddat bhi bahut thi,

Saaye se magar us ko
mohabbat bhi bahut thi,

Kheme na koi mere musaafir ke jalaaye,

Zakhmi tha bahut paano'n
masaafat bhi bahut thi,

Sab dost mere muntazir-e-parda-e-shab
the,

Din mein to safar karne mein
diqqat bhi bahut thi,

Baarish ki duaao'n mein nami
aankh ki mil jaaye,

Jazbe ki kabhi itni rifaaqat
bhi bahut thi,

Kuchh to tere mausam hi mujhe
raas kam aaye,

Aur kuchh meri mitti mein
baghaawat bhi bahut thi,

Phoolo'n ka bikharna to muqaddar
hi tha lekin,

Kuchh is mein hawaao''n ki siyaasat
bhi bahut thi,

Wo bhi sar-e-maqtal hai ke sach
jis ka tha shaahid,

Aur waaqif-e-ahwaal-e-adaalat
bhi bahut thi,

Is tark-e-rifaaqat pe pareshaa'n
to hoon lekin,

Ab tak ke tere saath pe hairat
bhi bahut thi,

Khush aaye tujhe shahr-e-munaafiq
ki ameeri,

Hum logo'n ko sach kahne ki aadat
bhi bahut thi..!!

- Parween Shakir
___
Masaafat = journey,
Muntazir-e-parda-e-shab = waiting for veil of night,
Diqqat = difficulty, trouble,
Sar-e-maqtal = near slaughterhouse,
Shaahid = witness,
Waaqif-e-ahwaal-e-adaalat = acquainted with matters of court,
Tark-e-rifaaqat = renouncing separation,
Shahar-e-munaafiq = city of hypocrisy,

________________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...