Thursday, November 23, 2017

Qarya-e-jaan Mei Koi Phool Khilaane Aaye

Qarya-e-jaan mein koi phool
khilaane aaye,

Wo mere dil pe naya zakhm
lagaane aaye,

Mere veeraan dareecho'n mein bhi
khushboo jaage,

Wo mere ghar ke dar-o-baam
sajaane aaye,

Us se ek baar to roothun main
usi ki maanind,

Aur meri tarah se wo mujh ko
manaane aaye,

Isi kooche mein kayi us ke shanaasa
bhi to hain,

Wo kisi aur se milne ke
bahaane aaye,

Ab na poochhungi main khoye hue
khwaabo'n ka pata,

Wo agar aaye to kuchh bhi na
bataane aaye,

Zabt ki shahar-panaaho'n ki mere
maalik khair,

Gham ka sailaab agar mujh ko
bahaane aaye..!!

- Parween Shakir
___
Qarya-e-jaa'n = near life,
Zabt = self control,
Shahar-panaaho'n = refuge of city,
_______________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...