Ruki hui hai abhi tak bahaar
aankhon mein,
Shab-e-wisaal ka jaise khumaar
aankhon mein,
Mita sakegi use gard-e-maah-o-saal
kahaan,
Khinchi hui hai jo tasweer-e-yaar
aankhon mein,
Bas ek shab ki masaafat thi aur
ab tak hai,
Maah-o-nujoom ka saara ghubaar
aankhon mein,
Hazaar saahib-e-rakhsh-e-sabaa-mizaaj
aaye,
Basa hua hai wahi shah-savaar
aankhon mein,
Wo ek tha pa kiya us ko jab
tah-e-talwaar,
To batt gaya wahi chehra hazaar
aankhon mein..!!
- Parween Shakir
___
Maah-o-nujoom = moon and stars,
Ghubaar = clouds of dust, fog,
धूल,
Saahib-e-rakhsh-e-sabaa-mizaaj = a person with the nature, habit,
Shah-savaar = horse rider,
Tah-e-talwaar = under the sword,
_______________
No comments:
Post a Comment