Thursday, November 23, 2017

Shaam Aayi Teri Yaadon Ke Sitaare Nikle

Shaam aayi teri yaadon ke
sitaare nikle,

Rang hi gham ke nahin naqsh bhi
Pyaare nikle,

Ek mauhoom tamanna ke
sahaare nikle,

Chaand ke saath tere hijr ke
maare nikle,

Koi mausam ho magar
shaan-e-kham-o-pech wahi,

Raat ki tarah koi zulf
sanwaare nikle,

Raqs jin ka hamein saahil se
baha laaya tha,

Wo bhanwar aankh tak aaye to
kinaare nikle,

Wo to jaa'n le ke bhi waisa hi
subuk-naam raha,

Ishq ke baab mein sab jurm
hamaare nikle,

Ishq dariya hai jo tere wo
tahi-dast rahe,

Wo jo Doobe the kisi aur
kinaare nikle,

Dhoop ki rut mein koi chhaao'n
ugaata kaise,

Shaakh phooti thi ke hum-saayo'n
mein aare nikle..!!

- Parween Shakir
___

Mauhoom = imagined, fancied, imaginary,
Shaan-e-kham-o-pech = beauty of bends and knots,
Subuk-naam = of good name, unsullied,
Tahi-dast = poor, impoverished, empty hands,
_______________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...