Friday, November 24, 2017

Taraash Kar Mere Baazoo Udaan Chhorh Gaya

Taraash kar mere baazoo udaan
chhorh gaya,

Hawa ke paas barahna kamaan
chhorh gaya,

Rafaaqato'n ka meri us ko dhyaan
kitna tha,

Zamden le li magar aasmaan
chhorh gaya,

Ajeeb shakhs tha baarish ka rang
dekh ke bhi,

Khule dareeche pe ek phool-daan
chhorh gaya,

Jo baadalo'n se bhi mujh ko chhupaaye
rakhta tha,

Badhi hai dhoop to be-saayeebaan
chhorh gaya,

Nikal gaya kahin an-dekhe paaniyo'n
ki taraf,

Zamee'n ke naam khula baadbaan
chhorh gaya,

Uqaab ko thi gharaz faakhta
pakadne se,

Jo gir gayi to yunhi neem-jaan
chhorh gaya,

Na jaane kaun sa aaseb dil mein
basta hai,

Ke jo bhi thahra wo aakhir makaan
chhod gaya,

Aqab mein gahra samundar hai
saamne jangal,

Kis intihaa pe mera mehrbaan
chhorh gaya..!!

- Parween Shakir
____
Barahna = naked, nude, bare, Uncovered,
Be-saayeebaan = without shed; sshadow,
Baadbaan = sail
जहाज़ में लगाया जाने वाला पर्दा जिसमें हवा भरकर जहाज़ चलता है, पोतपत,
Aqab = Backside, Behind, Rear,
_______________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...