Taaza mohabbaton ka nasha
jism-o-jaa'n mein hai,
Phir mausam-e-bahaar mere
gulsitaa'n mein hai,
Ek khwaab hai ki baar-e-digar
dekhte haib hum,
Ek aashna si raushni saare
makaa'n mein hai,
Taabish mein apni mahr-o-mah-o-najm
se siwaa,
Jugnoo si ye zamee'n jo kaf-e-aasmaa'n
mein hai,
Ek shaakh-e-yaasmeen thi kal tak
khizaa'n-asar,
Aur aaj saara baagh usi ki
amaa'n mein hai,
Khushboo ko tark kar ke na laaye
chaman mein rang,
Itni to soojh-boojh mere baaghbaa'n
mein hai,
Lashkar ki aankh maal-e-ghaneemat
pe hai lagi,
saalaar-e-fauj aur kisi imtihaa'n
mein hai,
Har jaa'n-nisaar yaad-dahaani
mein munhamik,
Neki ka har hisaab dil-e-dostaa'n
mein hai,
Hairat se dekhta hai samundar
meri taraf,
Kashti mein koi baat hai ya baadbaa'n
mein hai..!!
- Parween Shakir
___
Baar-e-digar = weight of others
पुनः, फिर से, दूसरी बार,
Aashna = acquaintance/ companion,
Taabish = brilliance, splendour,
Mahar-o-mah-o-najm = sun and moon and star,
Siwaa = except, but, over and above,
Shaakh-e-yaasmeen = branch/bough of jasmine,
Amaa'n = refuge, protection,
Munhamik = absorbed, engaged, engrossed,
_______________
No comments:
Post a Comment