Friday, November 24, 2017

Wo Hum Nahi Jinhein Sahna Ye Jabr Aata Hai

Wo hum nahin jinhein sahna ye
jabr aa jaata,

Teri judaai mein kis tarah
sabr aa jaata,

Faseelein tod na dete jo ab
ke ahl-e-qafas,

To aur tarah ka elaan-e-jabr
aa jaata,

Wo faasla tha duaa aur
mustajaabi mein,

Ke dhoop maangne jaate to
abr aa jaata,

Wo mujh ko chhod ke jis aadmi
ke paas gaya,

Baraabari ka bhi hota to
sabr aa jaata,

Wazeer-o-shaah bhi khas-khaano'n
se nikal aate,

Agar gumaan mein angaar-e-qabr
aa jaata..!!

- Parween Shakir
___
Jabr = compulsion, coercion, force,
Sabr = patience, endurance,
Faseelein = wall of enclosure around a castle/ fort,
Ahl-e-qafas = residents of cage,
Elaan-e-jabr = announcement of tyranny,
Mustajaabi = accepted; agreeable; given ear to; heard; grantd -prayers etc,
Abr = cloud,
Wazeer = a minister,
Shaah = a king,
Angaar-e-qabr = cinders, live coal in grave, disquiet,
_______________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...