Waqt-e-rukhsat aa gaya dil phir bhi
ghabraya nahin,
Us ko hum kya khoyenge jis ko kabhi
paaya nahin,
Zindagi jitni bhi hai ab mustaqil
sahra mein hai,
Aur is sahra mein tera door tak
saaya nahin,
Meri qismat mein faqat
durd-e-tah-e-saaghar hi hai,
Awwal-e-shab jaam meri samt wo
laaya nahin,
Teri aankhon ka bhi kuchh halka
gulaabi rang tha,
Zahn ne mere bhi ab ke dil ko
samjhaaya nahin,
Kaan bhi khaali hain mere aur
donon haath bhi,
Ab ke fasl-e-gul ne mujh ko phool
pahnaaya nahin..!!
- Parween Shakir
___
Mustaqil = firm, stable, fixed, permanent,
Awwal-e-shab = first hour of night,
Samt = direction/ path,
Zahn = mind, thought,
Fasl-e-gul = season of spring,
_______________
No comments:
Post a Comment