Wo majboori nahin thi ye adakaari
nahin hai,
Magar donon taraf pahli si sarshaari
nahin hai,
bahaane se use bas dekh aana
pal do pal ko,
Ye fard-e-jurm hai aur aankh inkaari
nahin hai,
Main teri sard-mehri se zara bad-dil
nahin hoon,
Mere dushman tera ye waar bhi kaari
nahin hai,
Main us ke qaul par eemaan la kar
khauf mein hoon,
Kahin lahje mein to zaalim ke ayyaari
nahin hai..!!
- Parween Shakir
___
Sarshaari = intoxication,
Fard-e-jurm = chargesheet,
Sard-mehri = sadness
negligence, indifference, ingratitude
निदर्यता,
Bad-dil = dejected, disheartened
निराश, नाउम्मीद, उदास,
Qaul = word, saying,
Ayyaari = cunningness, slyness, Guile
चालाकी, मक्कारी,
_______________
No comments:
Post a Comment