Friday, November 24, 2017

Thak Gaya Hai Dil-e-wahshi Mera Fariyaad Se Bhi

Thak gaya hai dil-e-wahshi mera
fariyaad se bhi,

Ji bahalta nahin ai dost teri
yaad se bhi,

Ai hawa kya hai jo ab nazm-e-chaman
aur hua,

Said se bhi hain maraasim tere
sayyaad se bhi,

Kyoon sarakti hui lagti hai zamee'n
yaa'n har dam,

Kabhi poochhein to sabab shahar ki
buniyaad se bhi,

Barq thi ya ke sharaar-e-dil-e-aashufta
tha,

Koi poochhe to mere aashiyaan-barbaad
se bhi,

Badhti jaati hai kashish waada
gah-e-hasti ki,

Aur koi kheench raha hai
adam-aabaad se bhi..!!

- Parween Shakir
___
Dil-e-wahshi = frenzied heart,
Nazm-e-chaman = orderliness of the garden,
Said = game, prey, hunting,
Maraasim = customs, rules, relations,
Sayyaad = hunter,
Sharaar-e-dil-e-aashufta = spark of frenzied heart,
Gah-e-hasti = place of life,
Adam-aabaad = the other world,
________________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...