Thursday, November 23, 2017

Qaid Mein Guzregi Jo Umr Bade Kaam Ki Thi

Qaid mein guzregi jo umr bade
kaam ki thi,

Par main kya karti ke zanjeer tere
naam ki thi,

Jis ke maathe pe mere bakht ka
taara chamka,

Chaand ke Doobne ki baat usi
shaam ki thi,

Main ne haathon ko hi patvaar
banaaya varna,

Ek tooti hui kashti mere kis
kaam ki thi,

Wo kahaani ki abhi sooiyaan
niklee'n bhi na thi'n,

Fikr har shakhs ko shahzaadi ke
anjaam ki thi,

Ye hawa kaise udaa le gayi
aanchal mera,

Yoon sataane ki to aadat mere ghanshyaam ki thi,

Bojh uthaate hue phirti hai humaara
ab tak,

Ai zamee'n-maa'n teri ye umr to
aaraam ki thi..!!

- Parween Shakir
___
Zamee'n-maa'n = motherland/earth-mother,
_______________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...