Thursday, November 23, 2017

Qadmon Mein Bhi Takaan Thi Ghar Bhi Qareeb Tha

Qadmon mein bhi takaan thi
ghar bhi qareeb tha,

Par kya karein ke ab ke
safar hi ajeeb tha,

Nikle agar to chaand dareeche
mein ruk bhi jaaye,

Is shahar-e-be-charaagh mein
kis ka naseeb tha,

Aandhi ne un ruto'n ko bhi
be-kaar kar diya,

Jin ka kabhi humaa sa parinda
naseeb tha,

Kuchh apne-aap se hi use
kashmakash na thi,

Mujh mein bhi koi shakhs
usi ka raqeeb tha,

Poochha kisi ne mol to hairaan
rah gaya,

Apni nigaah mein koi kitna
ghareeb tha,

Maqtal se aane waali hawa ko
bhi kab mila,

Aisa koi dareecha kie jo
be-saleeb tha..!!

- Parween Shakir
___
Takaan = fatigue, tiredness,
Humaa = a bird of happy omen, Phoenix, a fabulous bird
एक कल्पित पक्षी जिसकी छाया पड़ने से मनुष्य राजा हो जाता है,
Raqeeb = rival, competitor,
Be-saleeb = without Cross,
_______________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...