Paa-ba-gil sab hain rihaai ki kare
tadbeer kaun,
Dast-basta shahar mein khole meri
zanjeer kaun,
Mera sar haazir hai lekin mera
munsif dekh le,
Kar raha hai meri fard-e-jurm ko
tahreer kaun,
Aaj darwaazo'n pe dastak jaani
pahchaani si hai,
Aaj mere naam laata hai meri
ta'azeer kaun,
Koi maqtal ko gaya tha muddato'n
pahle magar,
Hai dar-e-khema pe ab tak
soorat-e-tasveer kaun,
Meri chaadar to chhini thi shaam ki
tanhaai mein,
Be-ridaai ko meri phir de gaya
tash'heer kaun,
Sach jahaan paa-basta mulzim ke katahre mein mile,
Us adaalat mein sunega adl ki
tafseer kaun,
Neend jab khwaabo'n se pyaari ho to
aise ahd mein,
Khwaab dekhe kaun aur khwaabo'n
ko de taabeer kaun,
Ret abhi pichhle makaano'n ki na
vaapas aayi thi,
Phir lab-e-saahil gharaunda kar gaya
ta'ameer kaun,
Saare rishte hijrato'n mein saath dete
hain to phir,
Shahar se jaate hue hota hai
daaman-geer kaun,
Dushmano'n ke saath mere dost
bhi aazaad hain,
Dekhna hai kheenchta hai mujh pe
pahla teer kaun..!!
- Parween Shakir
___
Paa-ba-gil = helpless/ powerless/ handcuffed,
Tadbeer = advice, solution, arrangement, order,
Dast-basta = with folded hand (in token of respect), humbly, respectfully,
Fard-e-jurm = chargesheet,
Tahreer = writing, description, composition,
Ta'azeer = punishment, reprimand, penalty,
Maqtal = a place of slaughter or, execution,
Dar-e-khema = door to the tent,
Soorat-e-tasveer = Like a Picture,
Be-ridaai = without a shawl/scarf/covering,
Tash'heer = publicity
मशहूर करना, प्रचार,
Paa-basta = bound in fetters,
Tafseer = explanation, commentary,
Taabeer = interpretation (of dream)
Lab-e-saahil = lips of the shore,
Daaman-geer = refuser, denier
falling in the hem,
_______________
No comments:
Post a Comment