Zindagi be-saaibaa'n be-ghar
kahin aisi na thi,
Aasmaa'n aisa nahin tha aur
zamee'n aisi na thi,
Hum bichhadne se hue gumraah
warna is se qabl,
Mera daaman tar na tha teri
jabee'n aisi na thi,
Ab jo badla hai to apni rooh tak
hairaan hoon,
Teri jaanib se main shaayad
be-yaqee'n aisi na thi,
Bad-gumaani jab na thi tu bhi nahin
tha mu'atariz,
Main bhi teri shakhsiyat par
nukta-chee'n aisi na thi,
Kya mere dil aur kya aankhon ka
hissa hai magar,
Chaadar-e-shab is se pahle
shabnami'n aisi na thi,
Kya hawa aayi ke itne phool dil
mein khil gaye,
Pichhle mausam mein ye
shaakh-e-yaasmee'n aisi na thi..!!!
- Parween Shakir
___
Saa'ibaan = roofless,
Qabl = previous (to), before,
Jabee'n = forehead,
Mu'atriz = critique/ objector,
Shaakh-e-yaasmeen = Jasmine branch,
_______________
No comments:
Post a Comment