Thursday, November 23, 2017

Main Faqat Chalti Rahi Manzil Ko Sar Us Ne Kiya

Main faqat chalti rahi manzil ko
sar us ne kiya,

Saath mere raushni ban kar
safar us ne kiya,

Is tarah kheenchi hai mere gird
deewaar-e-khabar,

Saare dushman rauzano'n ko
be-nazar us ne kiya,

Mujh mein baste saare sannaato'n
ki lai us se bani,

Pattharon ke darmiyaa'n thi
naghma-gar us ne kiya,

Be-sar-o-saamaa'n pe dildaari ki
chaadar daal di,

Be-dar-o-deewaar thi main mujh ko
ghar us ne kiya,

Paaniyo'n mein ye bhi paani ek din
tahleel tha,

Qatra-e-be-sarfa ko lekin
guhar us ne kiya,

Ek ma'amooli si achchhaai
taraashi hai bahut,

Aur fikr-e-khaam se sarf-e-nazar
us ne kiya,

Phir to imkaanaat phoolo'n ki
tarah khultey gaye,

Ek nanhey se shagoofe ko
shajar us ne kiya,

Taaq mein rakkhey diye ko pyaar
se raushan kiya,

Us diye ko phir charaagh-e-rahguzar
us ne kiya..!!

- Parween Shakir
___
Sar = conquer,
Rauzano'n = windows, holes,
Lay = air, melody, tone,
Naghma-gar = lyricist,
Be-sar-o-saamaa'n = without wherewithal,
Dildaari = loving, companionship,
Be-dar-o-deewaar = without door and walls,
Tahleel = dissolved,
Qatra-e-be-sarfa = worthless drop,
Guhar = pearl, gem,
Fikr-e-khaam = unrefined thinking,
Sarf-e-nazar = seeing,
Imkaanaat = possibility,
Shagoofe = buds,
Taaq = a recess in a wall,
Charaagh-e-rahguzar = lamp on the way,
_______________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...